Ek mukammal, practical aur asaan Deeni course jo khaas taur par khawateen ke liye tayyar kiya gaya hai. Is course ka maqsad Qur’an aur Sunnat ki roshni mein zindagi guzarne ka saleeqa sikhana hai.
- Qur’an with Tajweed
Sahi makharij aur tajweed ke qawaid ke saath Qur’an padhna sikhaya jayega.
Practical practice ke zariye tilawat ko durust aur khoobsurat banaya jayega. - Qur’an ka asaan aur samajhne wala tarjuma
Qur’ani ayat ka simple aur asaan tarjuma samjhaya jayega, taake Qur’an ka paighaam rozmarrah zindagi se jud sake. - Ahadith-e-Nabvi ﷺ ke kuch topic
Namaz, roza, zakat, Ramadan, hajj, iman, akhlaq, muashrat aur muamlaat se mutalliq zaroori ahadith padhai jayengi.
Har hadees ki mukhtasar tashreeh hogi aur us par amal karne ke asaan points bataye jayenge. - Zaroori sharai aur fiqhi masail
Ibadat aur rozmarrah zindagi mein pesh aane wale zaroori masail ko seedhi aur samajhne wali zabaan mein bayan kiya jayega. - Seerat-un-Nabi ﷺ
Paidaish se wisal tak Rasoolullah ﷺ ki mukammal zindagi ka mutala,
khawateen ke liye khaas rehnumai aur zindagi badalne wale sabaq ke saath. - Basic Arabic
Itni Arabic sikhayi jayegi ke Qur’an aur Hadith ko samajhne ki bunyaad ban sake. - Khawateen ke liye khaas Islami rehnumai
Parda aur haya, ghar ka nizam, bachchon ki tarbiyat, shadi-shuda zindagi,
aur aaj ke daur ke masail par rehnumai